gurbat tumhi pe qatam huwi aye shahe zaman
be ghor be kafan raha laasha shahe zaman
insaniyat pe karke ehsan aye hussain
islam ki hayat ke zamin shahe zaman
aye hussain ibne ali aye kushtaye tego sitam
laash teri thi zameen -e- garm pe shahe ummum
1. laashe qasim hogayi pamal run mein is tarha
tukdey tukdey chun rahey the qakse shahe ummum
aye hussain ibne ali . . .
2. karliya darya pe khabza mashk bhar li sher ne
thi tasavur mein sakina neher thi zerey qadam
aye hussain ibne ali . . .
3. sherey haq ka sher lashkar ka alam bardar tha
tha alam uncha huwe jab haath shano se qalam
aye hussain ibne ali . . .
4. jab jawan seene se khechi thi sina kehkar ali
ro pade sab ambiya har aankh thi iss gham me num
aye hussain ibne ali . .
5. tha jo humshakle nabi yun qatl kar dala usse
samne tere hai nikla uss jawan bete ka dum
aye hussain ibne ali . . .
6. tashnagi ka zikr ho mumkin kahan shabbir ki
ek duwa sa tha zameen se ta falak shahe ummum
aye hussain ibne ali . . .
7. asghar -e- nadan ne khaya teer haton par
tere
qabr ek nanhi si khodi run mein aye shahe
ummum
aye hussain ibne ali . . .
8. teer the naize the talwar thi aur pyaase hussain
ek jisme natawa tha aur the laakho sitam
aye hussain ibne ali . . .
9. aeyegi shame gareeban layegi dardo alam
hogaye ehle haram be qanuma shahe ummum
aye hussain ibne ali . . .
10. waqt woh kaisa tha sarwat le raha tha imteha
the hussain ibne ali har haal mein saabit qadam
aye hussain ibne ali . . .