Jaane wila hai Karbala
Gham ki Dua hai Karbala
Ek raasta hai Karbala
Roshan hai kiska naqshe pa
Aye Karbala tuhi bataa
Ho hosala Azme Jawan
Mardaane hagq ka Imtihaan
Quraan ko di Kis ne zaban
Goonji kahan haq ki sada
Aye Karbala tuhi bataa
Zinda hai mayaar e wafa
Ehsaan hai Abbas ka
Dariya jo hai behta hua
Sadqa hai uski pyaas ka
Aye Karbala tuhi bataa
Kehte hain jis ko Nainawa
Waada jaha'n poora hua
Hai naam ek maidaan ka
Ya sabr hai Shabbir ka
Aye Karbala tuhi bataa
Asghar pa gira kya alam
Nanha gala teer e sitam
Kaise saha Sheh ne ye Gham
Jab aasra koi na tha
Aye Karbala tuhi bataa
Kab ahle haq ke sar jhuke
Sheh rag se katt gaye gale
Bayat jahan sajde karre
Aisa kahin Kaaba bana
Aye Karbala tuhi bataa
Noor e Sehr jab chaa gaya
Hur Shaah e Deen tak Aagaya
Tofeeq Haq se paagaya
Kis ki sada ka faiz tha
Aye Karbala tuhi bataa
Akbar ka seena aur sina
Woh zabt Sarwar Allaman
Haathon pa hai Laasha jawaan
Aisa kahin dekha gaya
Aye Karbala tuhi bataa
Kaise huwa ye Saaniha
Noshah kyun ronda gaya
Kis haal me Laasha mila
Sheh ne aba me kya rakha
Aye Karbala tuhi bataa
Abbas ne kya dukh sahe
Sarta qadam bas zakhm the
Baazu bhi us ke katt gaye
Kaise zameen par woh giraa
Aye Karbala tuhi bataa
Sar par koi saaya na tha
Thi khaak par Aale Aba
Din bhar me sab kuch lutt gaya
Ye kya hua kaise hua
Aye Karbala tuhi bataa
Hai Sajdagaah e Aulia
Tasleem sab ne kar liya
Haq ki Azaa'n hai Karbala
Kis ne isse baaqi rakha
Aye Karbala tuhi bataa
Saathi na jab koi raha
Tanha tha Ibne Fatima
Tha zere khanjar jab gala
Kya Aalam e Tanhaai tha
Aye Karbala tuhi bataa
Shaam e Ghareeban ka Sama'n
Har simt shole aur dhuaa'n
Be aas saari Bibiyaa'n
Zainab huwi kyun Berida
Aye Karbala tuhi bataa
Akhtar thi Zainab ki fugha'n
Aaye hain Baba ab yaha'n
Kya kya karun un se baya'n
Tu hi bataaa Aye Karbala
Aye Karbala tuhi bataa