din hai aza ke logon farhse aza bichao
gham apne bhool ke ghame shahe deen manao
mazloom ka ye matam ek dars e zndagi hai
paigham karbala ka dunya ko phir sunao
din hai aza ke...
zainab ka tha ye nauha ghar lut gaya hamara
koi nahi hamara baba madad ko aao
din hai aza ke...
kehti thi ye sakina hoon teen din ki pyasi
maidan se aake ammu pani mujhe pilao
din hai aza ke...
laila ye keh rahi hai akbar mera kahan hai
laashe pa jaaun kaise rasta mujhe dikhao
din hai aza ke...
matam ki ye sadayein awaaz de rahi hai
ye haq ka raasta hai is raaste pe aao
din hai aza ke...