Kanz e Aza

Do baar namaz saheed hui

A noha for Imam Raza (a.s) (2013). Lyrics in Roman Urdu.

Do baar Namaz Shahid hui

Hay ali hay hay ali ...2

Hay hussain ..4

HaY ali hay hussain ..2

Hay ali....hay hay ali...hay hussain..2


Do bar Namaz shaheed Hui ek masjid mein ek maqtal mein ..2


Do bar baha hai khoone ali ek masjid mein ek maqtal mein..


Do bar Namaz shaheed Hui ek masjid mein ek maqtal mein ..2


Ek pyasa tha,ek roze se

Ek shohar tha ek beta tha..2

Zehra pe qayamat toot gayi ,ek masjid

Mein ek maqtal mein ..2


Do bar Namaz shahed Hui ,ek masjid mein ek maqtal mein ..2


Ek binte ali ka baba tha,ek baap ke jaisa bhai tha

Ek baap ke jaisa bhai tha


Do baar yatim Hui bibi ,ek masjid mein ek maqtal mein

Do bar Namaaz shaheed Hui,ek masjid mein ek maqtal mein..2


Ek bar ali ko churdvane ,ek bar hussain ke sirhane

Ek bar hussain ke sirhane

Roti Hui aayi binte nabi, Ek masjid mein ek maqtal mein..2

ek baap ko ghar mein laate huve,ek zeen se zamin par aate huve


Ek zeen se zamin par aate huve

Sarwar ne sada abbas ko di ,ek masjid mein ek maqtal mein ..2

ek baar ali ki mayat par,ek shimr layin ke zarbat par

ek shimr layin ki zarbat par


Ghash kha ke ghire dobar nabi,ek masjid mein ek maqtal mein..2

Ek masjid e umvi ke andar,ek baar hussain ke lashe par

Ek baar hussain ke laashe par

Be parda gayi hai binte ali,ek masjid mein ek maqtal mein...2