Kanz e Aza

Dunya se Chale

A noha for Imam Raza (a.s), written by Jawad Jafri. Lyrics in Roman Urdu.

har ghar mein bichao farshe aza

dunya se chale zaamin maula


kazim ke paak dulaare ko

mamoon ne qaatil zeher diya


hai chaak gareban zakhmi jigar

aayi hai yateemi maula par

karte hai taqi maula matam

masoom huwe baba se juda

har ghar mein bichao...


sadaat pe ghurbat chaayi hai

mashhad se sada ye aayi hai

phir aale nabi ka ghar ujda

phir ek ali hai qatl huwa

har ghar mein bichao...


kazim ke laal ka hai matam

hai nauha kuna saara aalam

maula ko nasle umayya ne

hai qatl kiya be-jurm o khata

har ghar mein bichao...


jis bhai se milne ke liye

hamsheer ne paidal safar kiye

afsos wohi bhai na raha

masooma e qum karti hai buka

har ghar mein bichao...


mazloom raza ki mayyat par

rote hai nabi zehra hyder

girya hai shaam ki makhdooma

rota hai ghareeb e karbobala

har ghar mein bichao...


ek sog ka aalam hai taari

rote hai imame zamana bhi

jawad zamane mein jaari

matam hai imam e zaamin ka

har ghar mein bichao...