Kanz e Aza

KIS SE FARYAAD KARU'N

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Akhtar Zaidi and recited by Anjuman e Parwana e Shabbir. Lyrics in Roman Urdu.

Khwahare Shah Tadap kar yehi Deti thi Sada

Kis se Faryaad Karu'n


Dekhti rehgayi Main Ghar Mera barbaad huwa


Kisse Faryaad Karu'n


Maine atthara baras nazo'n se Pala tha Jise

aaj Rothi hu'n use

Khaak Zulfo'n me hai aur khoon me Sina hai bhara


Kis se Faryaad Karu'n

Khwahare Shah Tadap kar yehi Deti thi Sada

Kisse Faryaad Karu'n


Haay wo Asghare Masum bhimaida'n ko gaya

teer gardan pa laga

Mujhse dekha nahi'n jaata hai wo khali jhoola


Kisse Faryaad Karu'n

Khwahare Shah Tadap kar yehi Deti thi Sada

Kis se Faryaad Karu'n


Rann ko jaakar jo Alamdar na waapas Aya,Mera dil toot gaya

MeraBhai Meri chaadar ka Muhafiz na raha


Kis se faryaad Karu'n

Khwahare Shah Tadap kar yehi Deti thi Sada

Kis se Faryaad Karu'n


Khanjare zulm jo Mazloom ki Gardan pa chala, thi Qayamat barpa

Qatl Shabbir Huwe hogayi Zainab tanha


Kis se faryaad Karu'n

Khwahare Shah Tadap kar yehi Deti thi Sada

Kis se Faryaad Karu'n


Kaisi Shaadi huwi Doolha jo bana Ibne Hasan aur Kubra thi Dulhan

Tukde dil hogaya Doolha ka jo Laasha aaya


Kisse faryaad Karu'n

Khwahare Shah Tadap kar yehi Deti thi Sada

Kisse Faryaad Karu'n


Garm reti pa MereBhai ka Laasha tha pada Sar tha naize pa chadha

Daalti Jism pa hoti jo Mere Sar pa rida


Kis se faryaad Karu'n

Khwahare Shah Tadap kar yehi Deti thi Sada

Kis se Faryaad Karu'n


Aaiye Baba ke ab Apka Ghar jalta hai Sabka damm ghut'ta hai

Kisko awaz du'n ab koun sahara dega, Kis se faryaad Karu'n


Khwahare Shah Tadap kar yehi Deti thi Sada

Kis se Faryaad Karu'n


Yehi Kufa hai jaha'n ab bhi hai Baba ka maka'n darbadar ham hain

yaha

Sab Hame bhool gaye aisa zamana badla, Kis se faryaad karu'n


Khwahare Shah Tadap kar yehi Deti thi Sada

Kis se Faryaad Karu'n


Dakhila Shaam me ek hashr bana Mere liye, Sar Hamare the khule

Beridaayi ke wo lamhaat ke dam ghut'ta tha,Kis se faryaad Karu'n


Khwahare Shah Tadap kar yehi Deti thi Sada

Kis se Faryaad Karu'n


Ham rasanbasta the aur takht petha baniye shar tasht me Bhai ka Sar

Maine kin aankhon se wo dard ka manzar dekha, Kis se faryaad Karu


Khwahare Shah Tadap kar yehi Deti thi Sada

Kis se Faryaad Karu'n


Shimr ne aise Sakina ka Gala baandha hai Uska dam rukta hai

Mujhse dekha nahi'n jaata hai tadapna Uska,Kis se faryaad Karu'n


Khwahare Shah Tadap kar yehi Deti thi Sada

Kis se Faryaad Karu'n


Taaziyano'n se jo Abid ka badan hai zakhmi, Mera dil hai chhalni

Aisi zanjeer ke gardan se lahu behta tha, Kis se faryaad Karu'n


Khwahare Shah Tadap kar yehi Deti thi Sada

Kis se Faryaad Karu'n


Qaid me haay Sakina ne jo damm tod diya yaad aa'e Bhayya

Khu'n bhare kurte me Abid ne Usay Dafn kiya,Kis se faryaad Karu'n


Khwahare Shah Tadap kar yehi Deti thi Sada

Kis se Faryaad Karu'n


Zulm ki haar huwi qaid se Kunba chhoota Gham magar saath raha

Ghar ki barbadi ka manzar Meri ankho me raha,Kisse faryad Karu'n


Khwahare Shah Tadap kar yehi Deti thi Sada

Kis se Faryaad Karu'n


Jabke loote huwe asbaab ko Maine dekha Pairahn Bhai ka

Asre Ashoor ka har lamha palatkar aaya, Kis se faryaad Karu'n


Khwahare Shah Tadap kar yehi Deti thi Sada

Kis se Faryaad Karu'n


Labpa Zainab ketha Akhtar yehi Noha paiham kon dekhe MeraGham

Mera ab koi nahi'n Abid e Muztar ke siwa,Kis se faryaad Karu'n


Khwahare Shah Tadap kar yehi Deti thi Sada

Kis se Faryaad Karu'n