ya zahra ya zahra ya zahra ya zahra
mazlooma mehrooma masooma
ya zahra ya zahra ya zahra ya zahra
ya siddiqatul kubra ya raaziya ya
marzia ya taahira ya mazlooma
tujhse waada hai fatema zahra
tere aansu nahi bhulayenge
teri mazloomiyat pe royenge
tera farshe aza bichayenge
tujhpe kya kya sitam na dhaaye hai
taziyane bhi tu ne khaye hai
zulm ki inteha hai kalmago
tere ghar ko jalaane aaye hai
tere behte huwe lahoo ki kasam
hum bhi apna lahoo bahayenge
tujhse waada hai...
haye baad e nabi na jaane kyun
itni be-rehm hogayi dunya
teri dunya ujaad kar bibi
chain se khud to so gayi dunya
tere mohsin ko maarne waale
kya mohamed ko moo dikhayenge
tujhse waada hai...
hadh to ye hai ke dard e dil tera
ahle gham bhi samajh nahi paaye
daal kar gardan e ali mein rasan
teri nazron ke saamne haye
jis tarha dil tera dukhaya hai
hum kabhi bhi na bhool payenge
tujhse waada hai...
apne bachon ke saath tera wo
bhare darbar mein khade rehna
apna haq maangna zamane se
aur ummat ka zulm bhi sehna
kaun mujrim hai sayyeda tera
hum ye naslon ko bhi batayenge
tujhse waada hai...
phasliyan tod di teri bibi
saamne murtaza ke maara hai
kaun jaane ali ne kis dil se
tujhko zer e lehad utaara hai
teri turbat pe baith kar maula
tere jaane ka gham manayenge
tujhse waada hai...
jab ye dekha ke chal basi zahra
di sada ye hussain ne ro kar
mere shiyon ko bakshwa dena
mujhse waada karo ye ay maadar
unka zaamin hoo roz e mehshar tak
apne waade ko ye nibhayenge
tujhse waada hai...
shukr hai sayyeda ka ye akhtar
hum pe mehshar mein bhi karam hoga
paaon farsh e aza pe honge aur
sar pe abbas ka alam hoga
jab talak sayyeda na chahengi
apni jannat mein hum na jayenge
tujhse waada hai...