izzat hain kya veqaar hain kya ehteram hai
soncho to eak pal ke liye kya maqaam hain
bimaar-e-karbala ka yeh hum ko payam hain
aye momino hussain ka tum par salam hai
1. farsh-e-aza bichao karo majlis-e-hussain
dengi duwaein tumko muhammed ki noor-e-ain
is gham mein chaho jitna karo kam hain shor-o-shain
bimaar-e-karbala ka yeh hum ko payam hain
2. har gaam karbala thi shah-e-mashraqain ko
ghurbat mein chain kab mila zehra ke chain ko
asghar ke baad hogayi fursath hussain ko
bimaar-e-karbala ka yeh hum ko payam hain
3. maqsad ki aabroo hain saahadat hussain ki
maqtal mein charsu hai shahadat hussain ki
ta hashr surq rooh hain shahadat hussain ki
bimaar-e-karbala ka yeh hum ko payam hain
4. maa bain-e-kayenath ye tanha hai waqaya
piri mein noujavan ka laasha uthaliya
mazloom yeh hussain pe hai raat e ambiya
bimaar-e-karbala ka yeh hum ko payam hain
5. aakhon mein aaj tak hai woh manzar hussain ka
zakhmon se chur chur tha paikar hussain ka
veeran ho chuka tha bhara ghar hussain ka
bimaar-e-karbala ka yeh hum ko payam hain
6. hangam-e-asr jiski shahadat hai momino
uska hi zikr taab-a-qayamat hai momino
yeh gham manao ain-e-ibadath hai momino
bimaar-e-karbala ka yeh hum ko payam hain
7. aye momino qayaal rahe dil mein ye sada
wo dashte karbala ho ke majlis-e-aza
jannat se farsh-e-qaak pe ati hain fatima
bimaar-e-karbala ka yeh hum ko payam hain
8. yeh majlise yeh zikr yeh matam yeh marsie
mashko alam yeh phool yeh jhola yeh tazie
yeh sab nashaniya hai aza-e-hussain ke
bimaar-e-karbala ka yeh hum ko payam hain
9. taskeen e khalbe fatima yeh gham yeh anjuman
qayam rahe fareed yeh matam yeh anjuman
ahle aza se kehti hai hardam yeh anjuman
bimaar-e-karbala ka yeh hum ko payam hain