Aye momino sar peeto ke jaati hai ba hasrat , masooma ki mayyat
Kaandhe pa uthaaye huwe hai shehr ki qilqat, masooma ki mayyat
Ro ro ke baradar ko zamane se sidhaari, dukh dard ki maari
Har qalb ko hai yaad dilaati ye ba hasrat, masooma ki mayyat
Kis shouq se maajaaye ke deedaar ko aayi, par milne na paayi
Le jaati hai ye daagh e dil aur sadma e furqat, masooma ki mayyat
Seh seh ke gham aur daagh ghareebul watani haye, masooma uthi haye
Le jaate hai sab ghair nahi ehle qaraabat, masooma ki mayyat
Ya shaahe qurasaa'n teri qwahar ne qaza ki, muztar ne qaza ki
Kaandhe pa utha lijiye ab aan ke hazrat, masooma ki mayyat
Lab par dam e aaqir raha mazloom baradar, masmoom baradar
Tasveer e gham o dard hai ab dekhiye hazrat, masooma ki mayyat