bala ke dasht mein ashoor ko jo shaam huwi
kata hussain ka sar . . .
kata hussain ka sar fauje haq tamam huwi
1. kata ke shano ko shabbir ke baradar ne
wafa ko di hai baqa karbala ke hyder ne
bujhe charaag-e-ali bekaso ki shaam huwi
2. dilo ko fatha kiya tune istarha asghar
jo waar tune kiya jis se ro pada lashkar
tere labon ki hasi teg be niyam huwi
3. rahi na fauj na sardar na alambardar
phiraya jayega itrat ko ab sar-e-bazaar
ilahi dasht-e-bala yeh kaisi shaam huwi
4. tabahi qaimo mein aayi rahi na koi paas
mila hai zainab e muztar ko mansabe abbas
sahara ahle haram ka bani jo shaam huwi
5. jale qayaam to zainab ne badke di yeh sada
nahi hai koi muhafiz meri chini hai rida
talaya karti thi zainab jo ban mei shaam huwi
6. woh nok-e-naiza se quraan pad rahe hai hussain
yeh shahzadiya ro ro ke kar rahi hai bain
yeh shahre shaam mein kaisi bala ki shaam huwi
7. tamam ranjo masayeb ko seh gayi bibi
sar-e-hussain pe sar rakh ke so gayi bibi
main kya bataun ke zindan mein kaisi shaam huwi
8. aza-e-shah mein nouhon se milgayi izzat
gham-e-hussain mein masroof y0un huwe sarwat
najaf mein subha huwi karbala mein shaam huwi