Kanz e Aza

Aye saniye zehra ke pisar aun o mohammed

A noha for Aon o Mohd (a.s), recited by Anjumane Al Abbas(Hyd Ind). Lyrics in Roman Urdu.

aye saniye zehra ke pisar aun o mohammed

kuch tumko nahi maa ki khabar aun-o-mohd

1. jungle hai andhera hai qayamat ki ghadi hai

bulva-e-sitam mein shab-e-ghurbat ki ghadi hai

phatta hai yeh zainab ka jigar aun-o-mohd


aye saniye zehra ke pisar . . .


2. tum tapti huwi reti pe yoon khoo mein nahaye

ab kaun sada maa ki sune daud ki aaye

dhonde tumhe maa ran me kidhar aun-o-mohd

3. khaimon mein layin aag lagane chale aaye

ab koi nahi ahle haram ko jo bachaye

uthta hai dhuwa jalte hain ghar aun-o-mohd


aye saniye zehra ke pisar . . .


4. kehti hain yeh sar peet ke ab zainab-e-muztar

jeeti rahi main dil pe liye daag bahatar

tum kargaye duniya se safar aun-o-mohd


aye saniye zehra ke pisar . . .


5. tum hyder-o-zehra ke nigaho ki zia ho aur nusrat-e-haq ke liye rah-e-numa ho

tum din ke ho lal gahar aun-o-mohd

6. tum nusrat-e-shabbir ho waris-e-jaffer

sikhlado phir ek baar shuja-at ke wo johar

hyder ke ho tum noor-e-nazar aun-o-mohd


aye saniye zehra ke pisar . . .