Kanz e Aza

Fizza ne kaha auno mohammed gaye maare

A noha for Aon o Mohd (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

fizza ne kaha auno mohammed gaye maare, darya ke kanaare

mamau pe fida hogaye zainab ke dulaare, darya ke kanaare

sun kar ye sada saaniye zahra ye pukaari, amma gayi waari

aate hi mere laadle dunya se sidhaare, darya ke kanaare


dekhenge na pani ki taraf aankh uthaake, waada tha ye maa se

shehzado ne dam tod diya pyaas ke maare, darya ke kanaare

maqtal ke andhero me the us ghar ke ujaale, do phool se pyaare

ye chaand ke tukde hai ke toote hue taare, darya ke kanaare