Kanz e Aza

Fizza teri wafa ki had

A noha. Lyrics in Roman Urdu.

Kaniz-e-Zahra, Janabe Fizza, Wafa ki malka, Janab-e-Fizza


Fizza teri wafa ki, hadd akhri yahi he


Zainab ke sath tu bhi, bazaar me khari he


Fizza teri wafa ki, hadd akhri yahi he


Tu ne toh sayyadon ka abaad ghar bhi dekha Aur kis tarha huwa woh barbaad ghar bhi dekha

Tu phir bhi noukri se, peeche nahi hati he


Fizza teri wafa ki, hadd akhri yahi he


Ungli pakar ke teri, Zainab ne chal na seekha

Ek waqt woh bhi aya, Zainab ke saath Fizza

Jakri huwi rasan me, kanton pe tu chali he


Fizza teri wafa ki, hadd akhri yahi he


Tu habsh ki he maleka, sab jaante he bibi

Qadmon me thi tumhare, daulat jahan ki sari Phir bhi kaniz-e-Zahra tu fakhr se bani hai


Fizza teri wafa ki, hadd akhri yahi he


Har ek qadam pe tu ne, Zainab ko he bachaya

Bibi pe aane wala, pathar he tu ne khaya

Teri jabeen Fizza, zakhmon se bhar gayi he


Fizza teri wafa ki, had akhri yahi he


Sun kar wafat-e-Abid khud bhi rahi na zinda

Bazar e Shaam me tha, bibi tumhara laasha

Mayyat tumhari bibi, Baqar ne dafn ki he


Fizza teri wafa ki, hadd akhri yahi he


Ay Arsalan aur Mesum hoti he pursadari

Jab kaarvan Baqayya, aate hein baari baari

Fizza bhi za’iron ke, hum raah matami he


Fizza teri wafa ki, hadd akhri yahi he