Kanz e Aza

Jab Aayae Balligh

A manqabat written by Mir Hassan Mir (2013). Lyrics in Roman Urdu.

Jab Aayae Balligh


Jub Aaiyae Baligh Tere Tewar Nazar Aaie.....3


Dunia Me Ali (A.s.) Sub Se Kadawar Nazar Aaie


Jub Ayaa E Ballig Tere Tewar Nazar Aaie


Suraj Ki Kahin Dhoop Kahin Ishk Ka Saaya.....2

Ek Wakht Me Do Tarha Ke Manzar Nazar Aaie


Jub Ayaa E Ballig Tere Tewar Nazar Aaie


Ek Noor Ke Do Tukde The Aania E Khum Me.....2

Jis Rukh Se Bhi Dekha Woh Barabar Nazar Aaie


Jub Ayaa E Ballig Tere Tewar Nazar Aaie


Elan Wilayat Ka Hazaron Ne Suna Tha.....2

Mangi Jo Shahadat To Bahattar Nazar Aaie


Jub Ayaa e Ballig Tere Tewar Nazar Aaie


Hathon Se Mere Chut Gaya Sagar E Kausar.....2

Kausar Pe Jo Khud Saki E Kausar Nazar Aaie


Jub Ayaa E Ballig Tere Tewar Nazar Aaie


Allah (S.w.t.) Re Yeh Mojiz E Noor E Wilayat.....2

Andhon Ko Bhi Maidan Me Haidar Nazar Aaie


Jub Ayaa E Ballig Tere Tewar Nazar Aaie


Nabion Ko Jahan Dhoond Raha Tha Mai Wahan Par.....2

Fizza Nazar Aaie Kabhi Kambar Nazar Aaie


Jub Ayaa E Ballig Tere Tewar Nazar Aaie


Kehdena Yeh Behlol Hai Yeh Mir Hasan Bhi.....2

Dunia Jo Uthaie Hue Patthar Nazar Aaie


Jub Ayaa E Ballig Tere Tewar Nazar Aaie