Kanz e Aza

Jab maula mehdi aaenge

A manqabat written by Mir Hassan Mir (2015). Lyrics in Roman Urdu.

Jab maula mehdi aaenge

Maula Maula..(2)

ya mahdi..(20)

jab noor ka suraj chamkega


karwat yeh zamana badlega

sab chand sitare mehdi ki chaukhat ke diye ban jaaega

dekhega zamane yeh manzar dar baite ali ka khultey hi

deewaare haram ke sab patthar haider haider dohraaengey


jab maula mehdi aaengey

jo gaasibey haqqe zahra hai..(2)

qabro se uthaae jaaengey

kaabe ko sajaya jaaega badlega zamane ka manzar


tayyariye jashne eide ghadeer is tarah karengey woh aakar

jannat ke purane darzi se

malboos naye silwaaengey

kuch ibne adam aisey hai adam ke amal par hai barham


masjid ke aagey hotey hue jo dekh nahi saktey hotey matam

jab matam hoga kaabe me

woh jal jal ke mar jaaegey

qaem ki adalat me ek din woh pesh sabhi mujrim hogey


har daur me mimbar par chadke jo bughze ali mei boltey the

hai mujhko yakeen maula unki

meesam se zabaa khichwaaengey

nasir abbas taqi hadi sibte jafar mohsin naqvi


tehzeeb wajahat asif ho yaa aun sa matamdaar koi

jab hogi baqiyya mei majlis

yeh saare hume miljaaegey

dekhega jahaan yun ahle aza ka rutba badhaya jaega


khatune qayamat ka rauza jab firse banaya jaaega

chun chun kar matami halko se

mazdoor bulaae jaaengey

kya hoga qayamat ka manzar


kuffar ki dunya larzegi

baalo ko chudaate khaak ko jab utthengey lahad se maula ali

fir fauj me apne bete ki

woh khud shamil ho jaaegey


haider ki wilayat ka dushman tauheed ka dushman hota hai

tauheed ke waris hai mehdi tab bhi mera dil yeh kehta hai

dushman hai wilaayat ke jitney

woh pehle maare jaaengey


kuch bhi toh nahi hai tayyari hoto pe zabani yeh daawa hai

aa jaae agar woh milne ko kya koi aisa gosha hai

jhaako toh makaamo me apne

hum unko kaha tehraaengey


wallah khadi reh jaaegi har nasle umayya ki saazish

kya jandullah kya ainusra alqaeda kya kaisi daaish

jab teg ali ki chamkegi

sab mitti mei mil jaaegey


nazdik takallum hai woh ghadi dekhengey jab yeh ahle nazar

kya mufti hafiz maulana sab rashk karegey woh mujhpar

mimbar pe kasida zahra ka

woh padhne mujhe bulwaaengey