Kanz e Aza

Jibrael Murtaza ko Dulha

A manqabat written by Mir Hassan Mir (2007). Lyrics in Roman Urdu.

Jibrael Murtaza ko Dulha

Marhaba....2


Noor phaila hai tamanna e khadija bankar

Raat aai hai naseebo ka sawera bankar


Shab e hijrat ka nabi aur shab e meraaj ka rab

Fatema aap ke ghar aaya hai dulha bankar


hai aaj fatema se maula ali ki shadi..x2

Jibreel murtaza ko dulha bana rahe hai..x2


Sab arsh farsh wale..haa...

Sab arsh farsh wale khushiya manarahe hai....


Jibreel murtaza ko dulha bana rahe hai..x2

Baade saba khushi me itraa ke chalrahi hai


Tehzeeb aaj phr se karwat badalrahi hai..

Jannat sajane wale...x2


Duniya sajarahe hai..

Jibreel murtaza ko dulha bana rahe hai..x2


Dul dul sawaar maula paidal rawa'n dawa'n hai

Baaraatiyo me shamil nabiyo ka karwaa'n hai


Karne ko khair makdam..x2

Sarkaar arahe hai..


Jibreel murtaza ko dulha bana rahe hai..x2

Mehmaa'n nawaziyo me hai maihgh shaah e bathaa


Khaane ki zimmedari odey hai umme salmaa

Ilyaas o khizr sabko..x2


Sharbat pila rahe hai..

Jibreel murtaza ko dulha bana rahe hai..x2


Miqdaad ho ke qambar salmaan ho ya meesam

Hawwa ho ya ke saara fizza ho ya ke maryam


Sehra ali wali ka..

Sab milke gaa rahe hai....


Jibreel murtaza ko dulha bana rahe hai..x2

Qirtaas aasmaa'n hai tooba ki shaakh khama


Allah bhar raha hai khud hi nikah nama

Imran aur mohammad....x2


Seeghe padha rahe hai...

Jibreel murtaza ko dulha bana rahe hai..x2


Kitna hasee'n hai manzar iswakt rukhsati ka

Qur'aan karraha hai dulhan ke sarpe saya


Salmaan aur abuzar doli utha rahe hai..

Jibreel murtaza ko dulha bana rahe hai..x2


Sunkar Hasan se shadi Nayaab aur Takallum

Dawood kehrahe hai kya khoob hai tarannum


Ye sunke sab munafiq...x2

Balkhaye jarahe hai


Jibreel murtaza ko dulha bana rahe hai..x2

Marhaba........