Kanz e Aza

Mera waris hai ali

A manqabat written by Mir Hassan Mir (2009). Lyrics in Roman Urdu.

Mera waris hai ali

man kunto mola fahaza ali yun mola ..(3)

mera waris hai ali..(4)


khum k maidaan me..(2)

ailaan ye karte the nabi


mera waris hai ali..(4)


1. adam o nuh o payamber hon ya hazrat musa, younis o khizr hon illiyas k hazrat esa, ghir k mushkil me yehi..(2)

kehta tha hr ek nabi


mera waris hai ali..(4)


2. Qabr me mujhse nakeerain ne jb ye pocha, kon waris hai tera kon hai mola tera, mujhse pehle ye meri..(2)

qabr ki mati boli


mera waris hai ali..(4)


3. Maut kya maut se dar jane ka qissa kya hai, shaam walon ne ali walon ko samjha kya hai, ghir ke taighon me bhi..(2)

kehta tha hajar ibn e adi


mera waris hai ali..(4)


4. Ghair e farrar ka karrar ka haq hai mujhpar, meri janib na kare koi sahabi bhi nazar, bola khaiber me alam..(2)

hath lagaye na koi


mera waris hai ali..(4)


5. Khana e haq me nhi jayen ge dar se mola, un pe khul jaye ga aabayi wo rasta unka, junhi kaabe ke qareeb..(2) aake kahenge mehdi


mera waris hai ali..(4)


6. Maut ke maathe pe ayega paseena ran me, hurmla aj se tu rota phirega ban me, sab se kehti rahi..(2)

maqtal me ye asghar ki hasi


mera waris hai ali..(4)


7. Maine aada ke saron pr hi apna safar, meri taapon se hi marjaye ga sara lashkar, ye rajas parhte hue..(2)

ran me mujalli nikli


mera waris hai ali..(4)


8. Mujhko mola mere alfaz se pehchanenge, meer ko lehja o awaaz se pehchane ge, roz e mehshar jo sada..(2)

gunjegi akbar apni


mera waris hai ali..(4)

man kunto mola fahaza ali yun mola ..(2)