Ali Ali Ali Ali Ali Ali Ali Ali Haider Haider Haider
Mann Kunto Mawla Fahaaza Ali un Mawla
Mawlaiyo Ghadeer Ka Rastaa Na Chorna
Sab Chor Dena Zikr
Ali Ka Na Chorna
Mawlaiyo Ghadeer Ka Rastaa Na Chorna
Phal Ek Roz Dega, Ye Bolay Abu Turab
Meesam Tum Is Darakht Ko, Pyaasa Na Chorna
Mawlaiyo Ghadeer Ka Rastaa Na Chorna
Bughze Ali Ki Aag Se, Jaltay Hai Jinke Dil
Zikr E Ali Se Unko, Jalaana Na Chorna
Mawlaiyo Ghadeer Ka Rastaa Na Chorna
Humko Ye Maaye Deti Hai Jhoolay Mein Loriya
Maatam, Maatam, Maatam, Namaaz Aur Tabarra Na Chorna
Mawlaiyo Ghadeer Ka Rastaa Na Chorna
Zahra (SA) Nay Khwaab Mein, Abu Ishaq Say Kaha
Qatil Husain Ka Koi, Zinda Na Chorna
Mawlaiyo Ghadeer Ka Rastaa Na Chorna
Shia Ho Tum Ali Kay, To Sajjad Ki Tarah
Maatam Kay Saath Saath, Musalla Na Chorna
Mawlaiyo Ghadeer Ka Rastaa Na Chorna
Gar Chahtay Hai Tum Kay, Namaaze Qabool Ho
Darwaaza E Batool (SA) Pay, Sajda Na Chorna
Mawlaiyo Ghadeer Ka Rastaa Na Chorna
Aayaat Koi Aur Bhi Lay Aayega Magar
Jibreel Jibreel Tum Hussain Ka Jhoola Na Chorna
Mawlaiyo Ghadeer Ka Rastaa Na Chorna
Gar Chahtay Ho Raazi Ho Hasnain O Fatema (SA)
Haider Haider Haider Ke Dushmano Pay Tabarra Na Chorna
Mawlaiyo Ghadeer Ka Rastaa Na Chorna
Har Momina Bahen Say, Hai Yeh Iltejaa Meri
Zainab Ki Gar Kaneez Ho, Parda Na Chorna
Mawlaiyo Ghadeer Ka Rastaa Na Chorna
Gar Saamne Rasool Kay, Hona Hai Surkarooh
Jab Tak, Jab Tak Hai Saans Khoon Ka Pursa Na Chorna
Mawlaiyo Ghadeer Ka Rastaa Na Chorna
Akbar Kaha Batool (SA) Nay, Baahar Bahesht Say
Koi Ali Ka Chahnay, Wala Na Chorna
Mawlaiyo Ghadeer Ka Rastaa Na Chorna
Mann Kunto Mawla Fahaaza Ali un Mawla