Ghadeer-e-Khum ka dulha Abu Talib ka beta
Abu Talib ka beta Abu Talib ka beta .
Fazilat ka meenara Abu Talib ka beta .
Ghadeer-e-Khum ka dulha Abu Talib ka beta .
Ali murdo'n ko jilaee Ali suraj paltaee .
Karishme dekh ke jis ke zamana dhoka khaaye.
Nusairi samajh na paaye.
Khuda hai ya hai banda Abu Talib ka beta .
Nasab kuch aisa paaya Nabi ne beti dedi .
Shab-e-hijrat jo soya Khuda ne marzi de di .
Sharaf ka arsh-e-moalla Abu Talib ka beta .
Jo in se bugz rakhe ga badi mushkil se mare ga .
Yahan bhi haath male ga wahan bhi haath male ga .
Hai bakhsish ka darwaza Abu Talib ka beta .
Use kehte ho kaafir Payambar ka jo chacha hai .
Ae farzi baap ke beto woh sab kuch dekh raha hai .
Hai ab bhi gaib me baitha Abu Talib ka beta .
Mera imaan Ali hai meri pehchaan Ali hai .
Zamane walo sun lo mera sultan Ali hai .
Shahinshahi ka idaara Abu Talib ka beta .
Hui jab in ki wiladat buto'n ki aayi shaamat .
Muqaddar deen ka jaaga mili kaabe ko taharat .
Wiqaar-e-Khana-e-Kaaba Abu Talib ka beta .
Mila jab maal-e-ghaneemat ikhatta ho gayi ummat .
Magar jab deen-e-Nabi ko padhi hai khoo'n ki zaroorat .
Nikal kar saamne aaya Abu Talib ka beta .
Woh nikla khaima-e-haq se bani hashim ka jiyaala .
Batati hai ye jalalat bitha do kitna hi pehra .
Utha le jaaega darya Abu Talib ka beta .
Jab ek halka sa tabassum bana shamsheer-e-jalalat
To phir Faiyaz na jaane woh hoti kaisi qayamat .
Agar khul kar has deta Abu Talib ka beta .
Khuda hai ya banda Abu Talib ka beta.