hai saniye zehra ke pisar auno mohammad
shabbir ke hai noore nazar auno mohammad
unke ruqe pur noor se ek noor ayaa'n hai
hai rashke dah shamso qamar auno mohammad
ye kaat'te maidaan me bin saad ke sar ko
wallah jawaa'n hote agar auno mohammad
saaye ki tarha sath imaamat ke the hamraah
shabbir ke the seena sipar auno mohammad
abbas chalo dekhne bachou ki ladayi
lakho hai idhar aur udhar auno mohammad
ye baap ki aashoor ko karte hai nihayat
goya hai tamannaye pidar auno mohammad
hyder ke nawaase hai to jaffer ke hai pote
hai naqle shujaa'at ke samar auno mohammad
wo hyderi andaaz se maidaan me jaana
lag jaaye na ab tumko nazar auno mohammad