haq fasaana mere hussain ka hai
sab ne maana mere hussain ka hai
haq nibhaana mere hussain ka hai
dil thikaana mere hussain ka hai
har zamana mere hussain ka hai
jis jagah hur banaaye jaate hai
kaarqaana mere hussain ka hai
jiski qaatir ye kaaenaath bani
wo to naana mere hussain ka hai
jo zamee'n se anaj ugta hai
daana daana mere hussain ka hai
jisko kehte hai baghe jannat wo
aastaana mere hussain ka hai
bas wahi ek shaks hai hoshiyaar
jo diwana mere hussain ka hai
hashr ki dhop me shifaa'at ka
shaamiyaana mere hussain ka hai
tool sajdo ko de rahe hai nabi
martaba kya mere hussain ka hai