mohsine ummat shafie aasia paida hua
fatima ka doosra aarame jaa'n paida hua
deene haq ko kardiya purnoor jisne misl mehr
mustafa ka wo chiraaghe khaandaa'n paida hua
hooro ghulmaa'n kehte hai baaham basad aisho suroor
aaj sardaare jawaanaane jina paida hua
jisne choosi hai zabaane aqdas qairul wara
aaj wo rutbul-lisa'n moujuz baya'n paida hua
fatima ki jaan mehboobe habeebe kibriya
aashiqo maghbool qallaaqe jaha'n paida hua
kyu na ho mushkil kusha ka laqte dil mushkil kusha
jo ke mushkil me pukaara ye wahan paida hua
jiske naame paak se hoti hai taskee'n qalb ko
ghamzado ka wo moee'n roohe rawa'n paida hua
jiske darwaaze pe shaahaane jaha'n rakhte hai sab
aaj wo shaahinshahe arsh aastaa'n paida hua
naaz uthaata tha sada jis naznee'n ke beniyaaz
wo sawaari doshe qatme mursala'n paida hua
hai zahoor aaj inka kal abbas kyu paida na ho
shamma jab roshan hui parwaana waa'n paida hua