murtaza ke gulshan me kya bahaar aayi hai
rehmate quda ban kar chaar soo jo chayi hai
ye jo noor bikhra hai fatima ki godi hai
mujtaba ke jalwe me shaane mustafayi hai
ye ali ka beta hai jiska mujtaba hai naam
har bulandi choukhat par sajda karne aayi hai
shaad hai ali be had aur fatima qush hai
aaj unke dil ki jo aarzoo bar aayi hai
aaj ham ghulaamou ke dil bhala na ho kyu khush
murtuza o zahra ke ghar me eid aayi hai
jamma hai mohib saare aaj dar pe hyder ke
tehniyat ke naarou se goonjti qudaayi hai
noor se munawwar hai aaj ghar jo hyder ka
noore panjetan ki ye chouthi shamma aati hai