Noor ki anjuman Fatima
Markaz e Panjatan Fatima
Arsh se ban ke aayi hai tu
Murtaza ki dulhan Fatima
Kehkasha'n se zyada hasee'n
Tere ghar ka chaman Fatima
Teri mamta ke hai do nayan
Ik Hussain Ik Hasan Fatima
quld ka Arsh par hai dimaag
Chu ke tere charan Fatima
Kab kisi maa ne paida kiye
Phir Hussain o Hasan Fatima
Tere Shauhar ke dar se mila
Humko rizqe sukhan Fatima
Ghair ne Jisko dekha nahi
Tera woh pairahan Fatima