ye bemisl nayaab duqtar mubarak
mubarak mubarak payambar mubarak
sada har taraf se yahi aa rahi hai
rasoole quda ko ye duqtar mubarak
mubarak hame naqshe paa fatima ka
tujhe aaina aye sikandar mubarak
ali ko ye roohe ula me keh rahe hai
ye joda tumhe dee'n ke rehbar mubarak
nabi ko ye beti ali ko ye zouqa
ye shabbiro shabbar ko maadar mubarak
mubarak hame ye gule baaghe wehdat
tujhe aye gulista'n gule tar mubarak
ye aa aa ke kehte hai salmano boozar
ye beti janabe payambar mubarak
khushi ki ye jaa hai masarrat ka din hai
ye eed aye ghulamaane hyder mubarak