maahol lajawab fiza bemisaal hai
phir aaj meri fikr ka chehra bahaal hai
doulat mili hai mid'hate binte rasool ki
qismat ki is ataa pe mera dil mehaal hai
aao suna raha hu mai zahra ki manqebat
kya sonchte ho ye bhi azaane bilaal hai
taazeem inki karta hai allah ka rasol
hasti janabe fatima ki bemisaal hai
hyder bana rahe hai ise apni jaanemaaz
binte nabi ye teri rida ka kamaal hai
moulaae kaaenath nusairi ke hai quda
aur fatima me bhi sifate zuljalaal
zahra ke aabruo'n pe na aaye kahi'n shikan
inme to zulfeqaare ali ka kamaal hai
ishqe ali me zeest hai har rukh se kaamiyaab
bughze ali me saans bhi lena mahaal hai
meri lahad me aagaye moulaae kaaenath
pucho farishto jo bhi tumhaara sawal hai