aaj dunya me janabe fatima paida hui
syeda paida hui qairunnis paida hui
ashrafe hawwao saara o janabe haajera
faqre maryam ifteqaare aasia paida hui
aaya-e tat'heer jinki shaan me nazil hui
aaj baaghe dehr me wo taahera paida hui
noor se mamoor saara aaj aalam hogaya
ghar me noore haq ke noore kibria paida hui
kehte hai padhkar durood ahle zameeno aasmaa'n
duqtare mehboobe haq salle alaa paida hui
leti hai aakar balaae'n quld se ek ek hoor
aaj naswaane jahan ki rehnuma paida hui
ab jahan me sab rahenge raahato aaram se
qalq ki haajat rawa mushkil kusha paida hui