Kanz e Aza

aaj sadiq ka jahan me janashee'n paida hua

A qasida. Lyrics in Roman Urdu.

aaj sadiq ka jahan me janashee'n paida hua

musie kazim shahe dunya-o-dee'n paida hua


panjetan hai shaad aur masroor hai huro malak

mustafa ka saatwa masnad nashee'n paida hua


hazrate sadiq hai qush maadar hai bete par nisaar

qush hai baqir aaj pota mehjabee'n paida hua


shor hai salwat ka ghul hai mubarakbaad ka

hazrate sadiq ka farzande hasee'n paida hua


sabr se is shaahe dee'n ke ban gaya ummat ka kaam

saanie zainulleba sultane dee'n paida hua


qalq me har jaa'n bapa hai jashne meelaade imam

saatwa rehbar imamul muttaqi paida hua


haajate'n barla ilaahi momino ki jald tar

sadqa is moulood ka jo mehjabee'n paida hua