Kanz e Aza

aaj shaahe karbala ka dilbar paida hua

A qasida. Lyrics in Roman Urdu.

aaj shaahe karbala ka dilruba paida hua

malike har do sara zainulleba paida hua


muttaqi zahid namazi sabir o abid saqi

yaadgaare mustafa o murtaza paida hua


mustafa hai shaad aur hyder bohat qush'haal hai

aaj choutha jaanasheene mustafa paida hua


shaad hai hur o malak masroor hai qairunnisa

aaj pota fatima ka chaand sa paida hua


hazrate shabbir o abbase alambardaar ka

aaj dunya me bhateeja laadla paida hua


shor hai salwaat ka ghul hai mubarak baad ka

noore chashme mustafa salle ala paida hua


hazrate ayyub sharminda hai jis ke sabr se

aaj wo aalam me faqre ambiya paida hua


ummate aasi ka beda paar karne ke liye

aaj farzande shahe karbobala paida hua


zainabo kulsoom qush hai shehr bano shaad hai

aaj pehla dilruba shabbir ka paida hua


hazireene bazm ka bar aaye ya rab mud'dua

sadqa is moulood ka jo mailaqa paida hua