hussaini jari ko ho dilbar mubarak
mubarak mubarak ho sarwar mubarak
mubarak shabeehe ali ye pisar hai
mubarak ho moula ye dilbar mubarak
ye aabid hai zahid saqi aur saabir
hai mazloomo bekas ye rehbar mubarak
hue aaj sajjad muztar tawallud
hua ghar ali ka munawwar mubarak
mubarak mubarak ho zahra o hyder
tumhe aaj dilbar ka dilbar mubarak
qayamat me baqshaane waala tumhara
ab aaya ghulaamane hyder mubarak
ye naayab tumhara hai moula hamara
ye choutha qaleefa payambar mubarak
hua noore abid se roushan zamana
hua qaana e dil munawwar mubarak
ali naam iska hai abid laqab hai
ye farzand qushroo o qushtar mubarak
maqasid bar aaye mataalib bar aaye
kare jashn sabko ye daawar mubarak
padho aj salwaat qamush kyu ho
kaho aaj moula ye dilbar mubarak