jab se ho tum hijaab me dil beqaraar hai
har mazare hayaath nigaaho pa baar hai
le kar fizaae sub'ha tabassum kab aaoge
roothi hui chaman se, chaman ki bahaar hai
jeene pa ahle dil ko na majboor ab karo
tum aao ya na aao , tumhe iqtiyaar hai
le jaayegi kahan mujhe diwaangie shouq
parde me tum ho daamane dil, taar taar hai
aakar ali ki tegh ke jouhar dikhaao ab
maidaane karbala ko bada intezaar hai
talwaar jab chalegi to aawaz aaegi
daste quda hai aur wahi zulfeqaar hai
quraa'n zabaane haal se kehde ajab nahi
ye aaqri saheefaye parwardigaar hai
jeete hai aetebaare mohabbat pa ham sayeed
apni to zindagi kai yahi shaahkaar hai