Kanz e Aza

waarise mustafa naayebe murtaza

A qasida. Lyrics in Roman Urdu.

waarise mustafa naaebe murtaza, ya imame zama'n ya imame zama'n

jaane qairul wara hujjate kibria, ya imame zama'n ya imame zama'n


deene ahmad ko phir se bahaar aaegi, roshni noor se har taraf chaaegi

kufr mit jaaega jab tu aajaega, ya imame zama'n ya imame zama'n


kar rahe hai mohib intezaar aapka, hai zaba'n par yahi sabke sub'ho masaa

aaiye aaiye jald behre quda, ya imame zama'n ya imame zama'n


hai tamanna ke deedaar karlu tera, kab se takta hu moula tera raasta

kab mai choomunga aaqar tera naqshe paa, ya imame zama'n ya imame zama'n


tu faraaez imaamat ke farmaaega, jab namaze jama'at tu padhwaaega

ibne maryam tere peeche hoga khada, ya imame zama'n ya imame zama'n


tera tarze ibaadat hai sabse juda, sajda qaliq ka jab tu karega ataa

behte darya pe hoga musalla tera, ya imame zama'n ya imame zama'n


tha jo aadam se qaatim talak silsila, badhke hyder se phir askari se mila

aaj is silsile ka tu waris bana, ya imame zama'n ya imame zama'n