Kanz e Aza

ya ali murtaza ya ali murtaza

A qasida. Lyrics in Roman Urdu.

aap nafse nabi mazhare kibriya ya ali murtaza ya ali murtaza

aap mushkil kusha aap haajat rawa


jis ne mushkil me tumko pukara kabhi usko tumne diya hai sahara ali

tum hi dono jaha'n ke ho mushkil kusha


jis ka moula hu mai uska moula ali baad mere yahi hoga mera wasi

qum ke maidaan me tha nabi ne kaha


jo wilayat ke munkir hue hai teri naare dozaq unhi ke liye hai bani

qaliqe do jahaa'n ka hai ye faisla


tum hi qalbe mohammad ki taskeen ho tum madadgaare taaha o yaseen ho

naaz karte hai tum par sabhi ambiya


aye quda ke wali janasheene nabi gham me sarwar ke guzre faqat zindagi

ham ghulamou ki moula hai ye ilteja