haq ki taa bandagi ilm ki roshni ya ali-un naqi ya ali-un naqi
aap roohe ali aap jaane nabi, ya ali-un naqi ya ali-un naqi
aapka deene qaliq pe ehsaan hai, aapka hukm qaaliq ka farmaan hai
aap hai deeno eemaan ki roshni ya ali-un naqi ya ali-un naqi
hubahu mustafa min-o-ann murtaza, noore ke dono tukdo ka hai moujiza
sar se paa tak ali jaanasheene nabi, ya ali-un naqi ya ali-un naqi
aapke haath me sab ki taqdeer hai, aapke naam me hukme taseer hai
aapka naam lete hi mushkil tali, ya ali-un naqi ya ali-un naqi
garm kapdo ka silwaana shaahe huda, aap ghaibdaani ka tha moujiza
garmio ke dino me bhi baarish hui, ya ali-un naqi ya ali-un naqi
jaadugar ko nigal jaane ke waaste, aye shahe do jaha'n aapke hukm se
shere asla bana shere qaaleen bhi, ya ali-un naqi ya ali-un naqi