Kanz e Aza

zindagi ka bharosa nahi zikre hyder kiya kijiye

A qasida. Lyrics in Roman Urdu.

zindagi ka bharosa nahi zikre hyder kiya kijiye

aaqirat bhi sawar jaayegi ye fareeza ada kijiye


laakh sajde kiye jaaye phir bhi baqshish na ho paayegi

ye mohammad ka farmaan hai in ke ghar se wafa kijiye


dar pe aake ye shabbir ke ek rahib ne ki ilteja

mai sawaali hu shaahe zaman mujhko bete ata kijiye


bughze hyder hai bughze nabi ye najasat hai sab se badi

jo ali se adaawat rakhe door un se reha kijiye


ya ali aap muqatar hai ambiya ke madadgaar hai

jitne momin hai ughda kusha unki haajat rawa kijiye


aale ahmad ke zaakir mohib zikr ghairou ka karte nahi

aap shayer hai imraan ke manqebat hi likha kijiye