aaj nayeb baqar e zeejah ka paida hua
jaffer e sadeq shahe har do sara paida hua
de rahe hai tehniyat sab sayyade sajjad ko
aaj pota chaand sa sajjad ka paida hua
mustafa hai shaad aur hyder bohat masroor hai
paanchwa masnad nasheene murtaza paida hua
shaad hai madar pidar chehra pisar ka dekh kar
kehte hai kya mailaqa salle alaa paida hua
jiske noore paak se pur noor hai sara jaha'n
aaj wo aalam me noore kibriya paida hua
shor hai salwaat ka ghul hai mubarak baad ka
momino ka qalq me hadi chata paida hua
haajate bar laa ilaahi momino ki jald tar
sadqa is moulood ka jo mailaqa paida hua
panjetan hai shaad aur qalqe quda masroor hai
hazrate baqar ko beta chand sa paida hua