aap noore nabi aap noore quda ya imame zama'n ya imame zama'n
waarise innama naazishe hal ata, ya imame zama'n ya imame zama'n
jald ghaibat se aao khuda ke lie, apna chehra dikhaao khuda ke lie
ham ghulaamo ko hai intezaar aapka. ya imame zama'n ya imame zama'n
jab bhi hota hai zikre shahe tashnakaam. aate hai karne girya zaqeenan imam
muntazar aapka ab hai farshe aza, ya imame zama'n ya imame zama'n
dushmanaane aza ko saza deejiye, munkiraane buka ko mita deejiye
kufro zulmat ki phir chal rahi hai hawa, ya imame zama'n ya imame zama'n
hu ghulaame ali meri pehchaan hai, phir ziarat karu mera armaan hai
rozo shab bas yahi kar raha hu dua, ya imame zama'n ya imame zama'n
jo hai beemaar unko shifa deejiye. soi taqdeer unki jaga deejiye
aapke jadd ka deta hu mai waasta, ya imame zama'n ya imame zama'n