Hujjat se yeh duniya qayam hai Qayam se zamana qayam hai
Dil hijr me jal kar khaak hua par dil ki tamanna Qayam hai
Kis pardah nashee'n ne duniya me qud pardah uthaya hai apna
Kotaahi dast-e-shouq he tak mashooq ka pardah qayam hai
Ankho'n me wahi hai dil me wahi raste me wahi mehfil me wahi
Qilwat me wahi mehfil me wahi phir parde ka parda qayam hai
Ghaflat se musalmano chownko kuch ghour karo soncho samjho
Dunya se shah-e-laulaak gaye kiske liye duniya qayam hai
Quran nahi itrat se juda farmaa gaye Mahboob-e-Khuda
jo toote na roze mahshar tak woh dono me rishta qayam hai
Tum pardah utha doge jis din duniya ka bharam khul jayega
Haq yeh hai tumhaare pardeh se ek ek ka pardah qayam hai
Inkar jinhen hai ghaibat se ae Qais woh imaa'n kho baithe
Hum ghaib pa imaa'n rakhte hein imaan hamara Qayam hai