Is baat se zahir hai rutba Ali Akbar ka
Hota hai Azaano’n me characha Ali Akbar ka,
Aey Hurr teri qismat ne kyu aj yeh karwat li
Kya subha ko dekha tha chehra Ali Akbar ka.
shabbir ke jhoole ko jibreel jhulaate the
shabbir jhulaate hai jhoola ali akbar ka
shabbir jhulate the abbas ke jhoole ko
abbas jhulate he jhoola ali akbar ka
Poocha gaya Yousuf se jab husn ke baare me.
haskar kaha ye to hai sadqa ali akbar ka
laila ne kaha baithu kis tarha mai saye me
phirta he nigaho me chehra ali akbar ka
poocha gaya jab sheh se kyu qam hai kamar mola
bole ke uthaya tha lasha ali akbar ka
Hota hai Azaano’n me characha Ali Akbar ka