jisne moula ali ko pukara nahi
usska dunya me koi sahara nahi
rotiyaa gar na de ehlebaite nabi
aye farishto tumhara thikana nahi
jis ka moula hu mai uska moula ali
jo ali ka nahi wo hamare nahi
qum me mimbar banakar ye bole nabi
ye hai mimbar ali ka tumhara nahi
badr se karbala tak mooraq bata
kounsi jang me kufr haara nahi
sirf moula ali ke ye kirdaar hai
zer kar ke bhi dushman ko maara nahi
ghar sajakar pareshaa'n rahe raat bhar
ek taara quda ne utara nahi
jao ab jake baghe fidak me raho
ghasibo baaghe jannat tumhara nahi