Kanz e Aza

kyu girta na sambhlega

A qasida. Lyrics in Roman Urdu.

Kyu girta na sambhlega tera naam hi aisa hai..

taqdeer palat dega tera naam hi aisa hai

dil dushman ka jalega tera naam hi aisa hai


maqbool hui touba tere naam se aadam ki

asaan na kyu mushkil ho mursake aazam ki

aye ham safare zahra tera naam hi aisa hai

Kyu girta na sambhlega tera naam hi aisa hai.


mash'hoor jaha'n hai ham tere naam ke sadqe me

dunya me rahe ab ham ya qabr ke goshe me

dil se na juda hoga tera naam hi aisa hai

Kyu girta na sambhlega tera naam hi aisa hai.


har kaam nusairi ka tere naam se banta hai

bas is liye wo nadaa'n rab tujh ko samajhta hai

kya jurm nusairi ka tera naam hi aisa hai

Kyu girta na sambhlega tera naam hi aisa hai.


taqleeq ke din se ham karte hai sana teri

har saans pe lete hai ham naam tera phir bhi

dil ser nahi hota tera naam hi aisa hai

Kyu girta na sambhlega tera naam hi aisa hai.


Khushbu e wila aati hai har dil e momin se

Aur aag si lagti hai har dilme munafiq ke

Kyu aisa na ho maula Tera naam hi aisa hai...

Kyu girta na sambhlega tera naam hi aisa hai.


Ye jism ye jaan maula teri hi amanat hai

Tere naam pe marne ka in'aam shahadat hai

Kyu jaan se na ho pyara Tera naam hi aisa hai...

Kyu girta na sambhlega tera naam hi aisa hai.


Tere khalq me aane se jab khush hai khudai bhi

Phir fart e musarrat se deewar bhi kaabe ki

Kyu cheer na le seena Tera naam hi aisa hai...

Kyu girta na sambhlega tera naam hi aisa hai


Milta hai sabaq humko ye qaul e payambar se

Koi bhi zamana ho shajre ko munafiq ke

Chhupne hi nahi deta Tera naam hi aisa hai...

Kyu girta na sambhlega tera naam hi aisa hai


Mamnoon tera maula har daur e nabuwat hai

Meraj me khaaliq ko teri hi zarurat hai

Kyu aisa na ho maula Tera naam hi aisa hai...

Kyu girta na sambhlega tera naam hi aisa hai.


Aghyaar ke naamo par khaali hi palat ta hai

Kis naam pe milta hai saail b samajta hai

Raaziq hai faqeero ka Tera naam hi aisa hai...

Kyu girta na sambhlega tera naam hi aisa hai


Aati hai sada koi jab nara e haider ki

Guzri hai kaii sadiyaan turbat me magar ab bhi

Dil hilta hai marhab ka Tera naam hi aisa hai...

Kyu girta na sambhlega tera naam hi aisa hai.


Duniya ko mai dikhladu gar teri ijazat ho

Tere naam ka mai dedu gar waasta suraj ko

Wo aaj bhi paltega Tera naam hi aisa hai...

Kyu girta na sambhlega tera naam hi aisa hai.


Tere khalq me aane se jab khush hai khudai bhi

Phir fart e musarrat se deewar bhi kaabe ki

Kyu cheer na le seena Tera naam hi aisa hai...

Kyu girta na sambhlega tera naam hi aisa hai.


Har dam ye "Aqeel" aaqa tera zikr hi karta hai

Tere naam pe marta hai tere naam pe jeeta hai

Kaise na jiye aaqa Tera naam hi aisa hai...

Kyu girta na sambhlega tera naam hi aisa hai.