Kanz e Aza

mera hussain baaghe nabuwwat ka phool hai

A qasida for Imam Hussain (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

Mera Hussain Bagh e Nabuwat ka phool hai,

Haider ke isme jaan hai khoon e Batool hai.


Guzra jaha'n jaha'n se nawasa rasool ka,

Abtak waha'n Khuda ke karam ka nuzool hai.


Aisi azeem zaat hai Maula hussain ki,

Jiske liye huzoor ke sajdo me tool hai.


Jiske liye yazeed ne itne sitam kiye,

Woh taaj toh Hussain ke qadmo ki dhool hai.


Duniya me aur kaun hai Shabbir ke siwa,

Aisa sawar jiski sawari Rasool hai.


Qushiyaa'n sabhi nisaar hai us par jahaan ki

jisko ghame hussain me rona qubool hai


jiske lie yazeed ne itne sitam kiye

wo taaj to hussain ke qadmo ki dhool hai


mera hussian sidqo wafa ki kibaab hai

quraan is kitaab ka shaane nuzool hai