shabbir ye sab dunya tere naam se zinda hai
ye deen mohammad ka tere naam se zinda hai
allah ka bhi kalma tere naam se zinda hai
phaili hai zamane me touheed ki tanweere'n
goonji hai tere dam se kounain ki takbeere'n
haq tujh se hai paainda,
tabeere qaleel hai tu, aur faqr maseeha ka
tu waarise aadam hai , moosa ka to kya kehna
jab naam shahe bat'ha.
minni ki sanad baqshi tujhe sarware aalam ne
phir ye bhi kaha mai hu shabbir tere dam se
shabbir tera nana tere naam se zinda hai
fitrus to farishta tha, hur ko bhi ama'n di hai
jaa'n ibne mazahir ko , aur deen ko baqshi hai
ye deene nabi haqqa,
wal fajr me tu shamil, tat'heer me tu shamil
kousar ki muwaddat ki, tafseer me tu shamil
wal asr ka bhi soora ,
bayyat bhi na ki tune , sar bhi na jhuka tera
zalim ko kiya ruswa sarwar ne sare naiza
quraan bhi aye aaqa,
ahde nabawi alawi doure hasani ke baad
islam tane bejaa'n eksat (61) ke baad
tere naam se zinda tha tere naam se zinda hai
shabbir ka marsia qaa'n shabbir ka shaayar bhi
pehchan yahi hai ab tere sibte jaafar ki
sad shukr tera banda,