sultane qurasa'n ka zahoor aaj hua hai
maiqanae mid'hat pe hujoome sho'ara hai
jo naqsh chamakta nazar aata hai qamar me
wo naqsh shahe toos ka naqshe kafe paa hai
uqda koi dar pesh ho tum unko pukaaro
hamnaame ali misle ali uqda kusha hai
hai zikre raza noor wo taa hashr rahega
dunya me kahin noor bhi phooko'n se bujha hai
rouza hai shahedee'n ka bohot door watan se
is tarah laqab unka ghareebul ghoraba hai
karta hai rad ek hazaar ek balaaye'n
wo ek laqab shaahe qurasaa'n ka raza hai