har ghar me jashn aaj imame raza ka hai
dunya me roze eed ye ahle wila ka hai
mehfil me shor chaarsu salle alaa ka hai
shora jaha'n me aaj zahoore raza ka hai
mujh par faqat ye lutfo karam kibriya ka hai
jazba jo mere dil me raza ki sana ka hai
baazu pe baandhi jaati hai jo unki zaamin
nusqa hamaare paas ye radde bala ka hai
laaraib hai wo gulshane jannat ka mustahaq
mad'ha jo jaha'n me ali raza ka hai
kya poochte ho haal ataa shaahe toos ka
roze azal se silsila jaati ataa ka hai
husne amal me mere jo taseer qaas hai
mujh par ye lutfe qaas imame raza ka hai