Kanz e Aza

ho mubarak aaj sardare jina paida hua

A qasida. Lyrics in Roman Urdu.

ho mubarak aaj sardare jina paida hua

panjetan ke ghar imaame inso jaa'n paida hua


hazrate narjis hai shaadaa'n aur hassan hai shaad shaad

askari ka aaj ye roohe rawa'n paida hua


hogayi pehle nabuwat ab imamat qatm hai

ta qayamat ye imam ab hukm raa'n paida hua


ay zameene saamera qismat hui teri buland

ghar me ahmad ke imam jab baarwah paida hua


saaqie kousar ka pota aagaya kousar lie

haa'n gule naqle imamat baarwa paida hua


maahe shabane moazzam raat hai ye shabbe raat

roze jumma ye shahe kouno makaa'n paida hua


deen ki baaradari bhi aaj kaamil hogayi

hukmeraa'n apna imam ab baarwa paida hua


shaad rakh ab haazreene jashn ko tu aye kareem

uska sadqa aaj jo eemaa'n ki jaa'n paida hua