ho mubarak fatima ka dilruba paida hua
do jaha'n me teesra haajat rawa paida hua
baade shaahe la fata qaibar kusha yasoobe dee'n
maaliko muqtaar taaje innama paida hua
di qabar jibreel ne aakar rasool allah ko
mujtaba paida hua lo mujtaba paida hua
hogaya roushan madina jiske noore paak se
aaj wo aalam me noore kibriya paida hua
hai zabaa'n par jinno insa'n o malaaek ke yahi
janasheene mustafa o murataza paida hua
kibriya ne ki sana jiski kalaame paak me
wo shahe moujuz numa salle ala paida hua
hoor o ghulma keh rahe hai hoke qush firdaus me
qaanaye zahra me sibte mustafa paida hua
jiski qatir hazrate eesa falak se aaye hai
wo shahe kounain o faqre ambiya paida hua
eid ke din mustafa jiske liye ushtar bane
wo ali e murtaza ka dilruba paida hua