Kanz e Aza

hussain jeet gaye

A qasida for Imam Hussain (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

sada ye deta hai sajda-hussain jeet gaye

bachaake deen nabi ka


sina ki nok pe jaisi hi sar buland hua

ajeeb shaan se maqtal me mustafa ne kaha

wo dekho fatima zahra


ali ke lehje me qutbaat to sunaane do

zara si der hai zainab ko shaam aane do

yazeed qud ye kahega


qareebe qaanae parwardigaar ja to sahi

nazar se bughz ke parde zara hata to sahi

likha hai bar sare kaaba


sina ho teere-o kama'n ho, ya naiza-o qanjar

sitam ki tegh ho bhaale ho dhaal ho ke tabar

zabaa'n pe sab ki yahi tha


kiya jo nehr pe qabza ali ke dilbar ne

salaam pyaas ko badhkar kiya samandar ne

pukaarne laga darya


ameere shaam kahan ab teri hukoomat hai

mere hussain ke qadmo pe laashe baiyat hai

uthaale aake janaza


aza'n me lehjae akbar ka is qadar tha asar

abhi to jang ka aaghaz bhi nahi hai magar

zameere hur ka hai daawa


ali ki tarjuma sajjad ki zubaan hui

har ek simt se bewaqt jab azaan hui

pukaari saanie zahra


hai aqse faatahe qaibar ye bezubaan nahi

aye hurmala tujhe maloom iski shaan nahi

abhi kahega ye bacha


bigaada kya hai takallum hamara fatwo ne

zamana goonj raha hai sadaae maatam se

gali gali me hai charcha