momino ka naara hai -ya hussain ya abbas
qalb ki tamanna hai ya hussain ya abbas
iski goonj me shamil hai mehak ibadat ki
motebar wazeefa hai -ya hussain ya abbas
naam do hai ye lekin kaam inke hai eksaa'n
mushtariq qaseeda hai-ya hussain ya abbas
do saheefe hai ekjaa sabr aur wafaaou ka
pyas ka musalla hai-ya hussain ya abbas
ahmad o ali zahra aur hassan ka noora'n hai
panjetan ka toghra hai-ya hussain ya abbas
padhte jaaiye har dam inke naam ki tasbeeh
ha duaaye zahra hai-ya hussain ya abbas
dhoom hai zamane me aaj in ke aane ki
zarra zarra kehta hai-ya hussain ya abbas
murtaza o zahra ke in haseen betou ka
naam kitna pyara hai-ya hussain ya abbas
matami hai ham inke, ham hai inke parwaane
lab pe apne rehta hai-ya hussain ya abbas
poochta hai jab koi kisne zindagi di hai
dil dhadak ke kehta hai-ya hussain ya abbas
qalb ko mili quwwat aur mila sahara bhi
ham ne jab pukara hai-ya hussain ya abbas
meri simt dekhe to dehr ki koi mushkil
chashme nam me likkha hai-ya hussain ya abbas
sab se pehle hoti hai bas wahi dua maqbool
mohteram waseela hai-ya hussain ya abbas
karbala pohach jaaye hazireene mehfil sab
dil tadap ke kehta hai-ya hussain ya abbas