baaghe aalam me shabbir aaye, har kali baagh ki has rahi hai
chal rahi hai naseeme masarrat, daali daali har ek jhoomti hai
gulshane dee'n bahaarou pe aaya, abr rehmat ka hai aaj chaaya
baaghe nasle imamat hai qandaa'n yu'n naseeme masarrat chali hai
maah roo hai ali ka ye bacha, is ka jalwa hai yasrab me paida
chand aaya hai ye fatima ka, ghar me hyder ke ab chaandni hai
azm se ye na hargiz hatega, teghe shehrag se batil katega
hai jigar me to hamza ki quwwat, qalb me himmate hyderi hai
shaam ka taqt tewar se larza, hogaya hai tabaahi ka imkaa'n
ye to doure yazeedi nahi hai, daste bayyat me kyu thartharayi
aa chuke the nabi aur hyder, the hassan aur binte payambar
isse taadaad daare jaha'n me, panjetan ki mukammal hui
ye na raahe quda se hatega, naame haq isse baaqi rahega
ye ekhattar 17 ko lekar ladega, iski rag rag me qoone ali hai
surq rooi shariyat ki beshak, hai ataa e libas e hussaini
husne range libaase hassan se, deene ahmad ki kheti hari hai
sab hi darham ko dete rahenge, bheek sab se hi lete rahenge
teesra dar to ye hai usi ka, jo imamat ki baara dari hai
aaye dunya me dil bande hyder, jism jhule se ab jaake mas kar
baal o par le tasadduq me jaa kar, dekh fitrus ye achi ghadi hai
ye hai farzand aisa ali ka girte kaabe ko jisne sambhala
ye to bacha nahi murtaza ka, deene islam ki zindagi hai